Текст песни Roop Kumar Rathod, Kavita Krishnamurthy - Sunoji Dulhan Ek Bat Sunoji

  • Просмотров: 50
  • 0 чел. считают текст песни верным
  • 0 чел. считают текст песни неверным

Текст песни

Sunoji dulhan ek baat sunoji
Apne naye parivar se miloji
Tumhe milayen sabse aaj
Suno sunayen sabke raaz
Hai tumhe milayen sabse aaj
Suno sunayen sabke raaz

Pehle dulhan tum inse miloji
Ghar ke mukhiya tumhare sasurji
Jinke sar pe sukhon ka taj
Dekho zara inka andaz
Hai jinke sar pe sukhon ka taj
Dekho zara inka andaz

Rampur ka baasi hoon main
Ramkishan hai naam
Seedhi saadhi boli meri
Seedha saadha kaam
Ho jo bhi chaha maine
Ho rab se woh paaya maine
Rampur ka baasi hoon main
Ramkishan hai naam

Des-bides ghoomkar aaya main bhai
Ho mehak gaon ki mitti ki na bisrai
Wahi gud chana-doodh nashte mein bhaaye
Ho chhuri aur kaante se khana na aaye
Itne par bhaiho
Itne par bhi hai nayee techniko
Ko pyar se seekha maine
Rampur ka baasi hoon main
Ramkishan hai naam
Seedhi saadhi boli meri
Seedha saadha kaam

Aao dulhan ab inse miloji
Yeh hain tumhari sasu maji
Ghar mein chalta inka raj
Inka khaas hai ek andaz
Hai ghar mein chalta inka raj
Inka khaas hai ek andaz

Mera naam mu-mu-mu
Mu-mu-mu aha mu-mu-mu
Teen titliyan meri yaar
Mujhe partiyon se hai pyar.
Wah-wah wah-wah
Wah-wah wah-wah

Shopping ho ya sabzi mandi
Mol-bhaav ki pakki hoon
Ek rupaiya keemat ho to
Ek rupaiya hi main doon
Lamba mera fasana hai
Par beauty parlour jaana hai
Lamba mera fasana hai
Par beauty parlour jaana hai
Mera naam mu-mu-mu
Mu-mu-mu aha mu-mu-mu
Pyara mujhe saaj singaar
Umra ko goli maaro yaar
Wah-wah wah-wah
Wah-wah wah-wah

Chalo dulhan ab aage badho ji
Apne nanad – nandoi se miloji
Biwi ko yeh na karen naraaz
Aashikana hai andaz
Hai biwi ko yeh na karen naraaz
Aashikana hai andaz

Radhika ke daddy zara aana
Darling – hukum farmana
Kaisi hai yeh sari batana
Darling – fida hai yeh deewana.

Mera sar hai dukhta
Chalo main daba doon
Hai khana pakana
Kaho main paka doon
Kahin ghoom aayen
Jahaan bhi kaho tum
Dinner lenge bahar
Fikar na karo tum
Baad mein ice cream bhi khilana
Darling – jo chaho so mangana
Meetha paan calcutta khilana
Darling – zara sa muskurana
Zara mera purse to uthana
Darling – tumhara hai zamana
Darling – tumhara hai zamana

Sunoji dulhan ab sambhal jaoji
Chhote natkhat devar se miloji
Bada rangeela inka mizaaj
Shaitani inka andaz
Hai bada rangeela inka mizaaj
Shaitani inka andaz.

Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Sach saare sapne – papa ke apne
Karne chala main naujawaan.

Bholi soorat dil ke khote
Baatein badi hain kaam hain chhote – kaam hain chhote
Aath baje tak jo sote
Bade kahaan log aise hote.


Jinki nazar mein ho koi sapna
Raha na unko hosh apna – hosh apna
Chit bhi hai inki : pat bhi hai inki
Bin pendi ke yeh lote
Baatein badi hain kaam hain chhote – kam hain chhote
Bholi soorat dil ke khote
Husn ke nakhre mote mote – mote mote

Sunoji dulhan ab gaur karoji
Apne bade devar se miloji
Ma ke dil ke yeh sartaaj
Sharmeela jinka andaz.

Ankhiyan milayen nahin
Hai batiyaen nahin banke rahen sadhu
Ankhiyan milayen nahin
Hai batiyaen nahin banke rahen sadhu
Kisi chehre ke kitaab ka roz
Revision hai chalu
Preeti ke path mein hain prembabu
Chhupe rustam hain yeh prembabu.
Aise kya bane padhaiya
Padh ke dekho ji saiyan
Prem ke dhai akshar – ho
Jab tak tum rahe bidesi
Meri haalat thi aisi
Jal bin jaise machhariya ho
Mera piya ghar aaya ho ramji
Mera piya ghar aaya ho ramji.
Puri ho na ho padhai o papaji
Kar do inki bhi sagai o mummyji

Pyari dulhan ab dil thamoji
Kyon ke hai baari saiyaji ki
Itna sa hai inka raaz
Sab se alag inka andaz
Hai itna sa hai inka raaz
Sab se alag inka andaz.

Khuli kitaab ke jaisi hai shaksiyat inki
Kaun hai ghar mein aisa jisko inpe naaz nahin
Suno dulhan batayen raaz tumko hum inka
Yeh aaina hain – jiske dil mein koi raaz nahin.

Chanda mama se bhi pyare
Hain yeh hamare mama
Chanda mama se bhi pyare
Hain yeh hamare mama
Mami ji ke aa jaane se
Humko bhool na jaana
Pyare-pyare mamaji – jahaan se nyare mamaji
Pyare-pyare mamaji – jahaan se nyare mamaji

Перевод песни

Дорогой пирог, мамаджи-то, где профсоюзный дядя по материнской линии

Все тексты Roop Kumar Rathod, Kavita Krishnamurthy >>>